Saturday 13 September 2014

Ye Duniya Mil bhi jaye to kya hai?

Inspired by Guru Dutt and Piyush Mishra. Written along with my friend bhola

Ujalon ko andhere se mitati hui duniya,
Khule khyaalon ke parindon ko pinjaron mein kaid karne waali duniya,
Jannat ke sapne todti , marghat ke raaston ki duniya,
Insaan ko insaaniyat se pariye karne waali duniya,
Shareefon ki sharafat ko jalati hui duniya,
Insaan ko chand sikkon se maapti hui duniya,
Sanskriti ko raakh ki chillam udati hui duniya,
Nanhe bhole ko khuli zulfon se behkati hui duniya
Adab aur saadgi ko lajjati hui duniya,
Dimag ki kaalik se dil ki safedi ko maili karti duniya,
Jhoot ke nagadon se sach ki siskiyon ko ghotti hui duniya,      
Sachai ko jhoot ke jaamon mein dubati hui duniya,      
Sachoon ko jhoota kehti duniya,
Sachai ke mail ko jhoot ke kaalin ke neeche chupati hui duniya
Andhon ko dikhne waali sach se andhi duniya,
Behron ko sunaiye dene waali sach se behre duniya,
Ye duniya agar mil bhi jaaye to kya hai?

Ye duniya agar mil bhi jaaye to kya hai?

No comments:

Post a Comment